Monday, October 5, 2009

Tere hone ki koi wajah na hai

Tere Na hone ki koyi wajah bhi nahi mere paas

Aur Na tere hone ka koi sabab hai mere pass. -II


Takdeer ki lakeer, pattar pe likhee hai kyun

Ki tum nahi roobaru, meri iss zindagi mein yun. - Tere Na hone ki


Kata tha nahi hai din, tere tasauvvur ke bina,

Ghat gayi umr aadhi, tere kurbat (nearness) ke bina. - Tere Na hone ki


Tum Na loutoge, aur naahi koi ummeed hai teri wapasi ki.

Rukhi nahi hai saans, tere baadh bhi iss Zindagi ki. - Tere Na hone ki


Doorian tho hai darmiyan. iss sab ke bavajood

Reh Gaya hai tanha, tere bina mera wajood. - Tere Na hone ki


Main jo hoon yahan yin sab ke beech,

Ajnabi sa lagtha hai aayina, iss bheed ke beech. - Tere Na hone ki


Tere Na hone ki koyi wajah bhi nahi mere paas

Aur Na tere hone ka koi sabab hai mere pass. - Tere Na hone ki